Yaar bumbai jana hai, bachpan se bas yahi ek cheez hai bucket list main. Bumbai jana hai, bumbai ke sadkon pe chalna hai, koi nahi dekh raha tho thoda bahut doudna hai, galiyon main gusna hai, bas dekhna hai bumbai shehar ko itni bheed saans lete hue. Main gaya tha kuch 10 sal pahle papa ke saath, par wo papa ka bumbai tha yaar, unke dost, unki favorite jagah, unka favorite chaat ka dukan. Bhaut acha laga bumbai se milkar 10 sal pahle, par bhook nahi miti us mitti ki.
Apun ka bumbai alag hai, apun ka bumbai pichar se bana hai aur apan ka baap bumbai main Anurag Kashyap hai. Us manus ne jo portray kiya hai jindagi, crime, bhook, hawaz or kya kuch nahi, bas daud raha hai insan galiyon se na jana kisko marne wo bhi bas khud ko zinda rakhne ke liye. Bumbai apun ka dream land hai samjo aur sacred games hua apun ka Mahabharat. Gaitonde ka har ek line apun ko yad ane se upar mahasoos hota hai jab bhi alarm bachta hai. Anurag dada ki wajah se Bumbai jana ek asha se upar ek manzil ban gayi hai zindagi ki. Shayad Faizal khan ke bete se bhi mulakat hogi bumbai main. Kuch 10-20 din toh rahna hai, milna hai har us vyakthi se jo meri tarah aya tha shehar se mulakat karne aur bas tehar gaya Rishta banate hue salon ka, us chai ki tapri main jana hai jahan cutting chai par podcast se jyada mazedar kahaniya buni jati hai. Bas bumbai jana hai.
Kadva sach toh yahi hai ki lamba waqt udhar bitane par shehar ka asli roop shayad nazar ayega, pata nahi, shayad mahangayi ke us taraf tha mera bamabai pata nahi, pata nahi kahan sowunga, paise bachenge bhi nahi? Dar lagta hai asli bumbai se milne ko, kahi wo kuch average sa shehar na nikal jaye. Bahuton ki jindagi bani hai udhar, us se 1000 guna bahuton log bas log hi bane reh gaye, ya mit gaye us category se bhi.
Climax pe ate hain, apun ja raha hai Jaisalmer, par bumbai ko chukar. Kuch 8 gante milenge bumbai main. Pata nahi kya karunga utne waqt main. Pav bhaji khani hai, wo bhi extra makhan. Marine drive jana hai, wake up sid wali yadon ko recall karna hai. Main bhi na, film ki yadon par nayi jagah ke bare main nostalgic ho raha hun. Pata nahi jitna chaha tha, uska 1% bhi kar paunga. Khair bumbai janeka mauka tho mila, usme Khushi hai. Khayalon ki court kacheri aise hi chalti rahegi, apun chala bumbai, cutting chai aur pav bhaji khake batata hun kaisa raha. Alwida.
